Mathri Recipe | मठरी रेसिपी #indian #recipe #hindi

Mathri Recipe | मठरी रेसिपी #indian #recipe #hindi

Aj ham ap logo ko Breakfast ki recipe मठरी/ mathri banana sikhaynge. To chaliye mathri banana start karte hain. sabse pahle jarurat ka saman lenge.

1,) 500 gram mainda

2,)  50 gram refined oli 

3,) 5 gram Ajbayan 

4,) 3 gram Hingh 

5,)  50 gram Besan 

6,)  5 gram Beking powder (important) 

7,) kasturi menthii

8,) Namak swad k anusar

Hamari mathri kuch is tarah se banengi ap niche photo me dekh sakte Ho. 



मठरी बनाने के लिए फोटो पर क्लिक करें


Start karte h .
Ham apne sare saman ko ek paraat me dal denge. or sara saman dalne k baad usme usme last me Refined dal denge or ab Ham isko acche se mix kar denge. Uske baad ap dekhenge ki apka aataa mainda wala acche se mix Ho chuka hoga. Fir usme halka halka panii dalkar isko bahot HI mehnant se guund lenge. Dyaan rakhna isme bahot mehnat lagegi apko Mainde ka doo bahot tight banana h. 
Kuch is tarah ap Neche photos me dekh sakte Ho .


अगर आप मठरी बनाने की रेसिपी को वीडियो के जरिए देखना चाहते हैं तो नीचे वीडियो पर क्लिक करें









Apne dekha hoga hamne kitne acche se step by step apne mainda ko guund kiya h. Chliye ab Ham isko apne hidab se jitne badi ya chota size dena chahte h de denge or ap isko apne hath se golakar akaar de sakte Ho ya. Ap chkla belan ki help se isko choti choti pendiya bana lenge. 




Maine Ek ek karke apni sabhi bendiya bana li h or a inko main chkla belan ki help se. 



Kuch is tarah jo Maine upar photos me dikhaya h isi ke sath sath ham. Apni kadaiii me oil ko low flame par garam kar lenge ap test kar lena ki usme ataa dalne par ataa upar a raha h ya nahi. Main yaha apne hath se check kar lunga. 



Iske Bad ap apni sabhi mathrio ko ek ek Karke dheere dheere apni kadaii me dal denge. Dyaan dena safety jarur rakhna kahi oil aapke hath par na ayy. 



Dekh sakte h Maine apni mathrio ko kadaii me dal diya h or ab main inhe medium flame me 15 minutes tak paka lunga uske baad apki mathri ka color golden brown Ho jayga kuch is tarah. 


/>

Bass ap iske baad apni mathrio ko thodii der habaa laga lena or uske baad ap inko 1 mahine tak rakhkar. Kha sakte Ho. Or. Subah Indian BF recipe k tor par kha sakte h. Breakfast me kha sakte h Bhai or bahno Agar apko hamara blog kayse laga ap comment me bata sakte Ho. Hamara YouTube channel b h apgar ap hamari sabhi recipes ko sikhna chahte h to ap hamare YouTube channel par a sakte h uska link niche diya h. 
 #indian #recipe #hindi

YouTube link click here >> https://bit.ly/3blMiRD

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट